ada hua na qarz aur wajud khatm ho gaya main zindagi ka dete dete sud khatm ho gaya na jaane kaun si ada buri lagi thi ruh ko badan ka phir tamam khel-kud khatm ho gaya muahade zamir se to kar liye gae magar masarraton ka daura-e-wafud khatm ho gaya badan ki aastin mein ye ruh sanp ban gai wajud ka yaqin hua wajud khatm ho gaya bas ek nigah dal kar main chhup gaya khalaon mein phir is ke baad barf ka jumud khatm ho gaya majaz ka sunahra husn chha gaya nigah par khuli jo aankh jalwa-e-shuhud khatm ho gaya