dard ek roz koi rang dikhae to bane ruh gar chhod ke tan dahr mein aae to bane nazar aaen tere chehre ke khad-o-khal tamam dil se uth jaen kabhi wahm ke sae to bane wahdat-e-dard ho qariyon mein hawa ki manind ek ho jaen agar apne parae to bane waizan muzhda ki jannat mein bahaar aai hai meri duniya se khizan laut ke jae to bane dew-e-taqdir khada hai mere aage har dam koi tadbir ise zahr pilae to bane jis ko dekha kisi murde ka muqallid dekha apni ho jae har ek shakhs ki rae to bane sab ke dukh sunta hun main zoaf-e-zaifi mein wale mera dukh koi meri man ko sunae to bane apne aamal ko auron se chhupa rakkha hai meri niyyat ko koi mujh se chhupae to bane main banata to bahut hun nahin banti lekin wo inayat se meri baat banae to bane