ada ke tausan par us sanam ko jo aaj hum ne sawar dekha to hilte hi tuk inan ke kya kya kuchalte sabr-o-qarar dekha jhapak pe mizhgan ke jab nigah ki to us ne ek pal mein hosh udaya jo chashm-o-ghamza ki tarz dekhi to jadu is ka shiar dekha jo dekhi us ki wo tegh-e-abru to ji ko haibat ne aan ghera nigah jo kakul ke dam par ki to dil ko is ka shikar dekha hina jo hathon mein us ke dekhi to rang dil ka hua ajab kuchh kamar bhi dekhi to aisi nazuk ki ho bhi is par nisar dekha wo dekh leta hamari jaanib to is mein hoti kuchh aur khubi par us ne hargiz idhar na dekha 'nazir' hum ne hazar dekha