ai dil na aqida hai dawa par na dua par kam-bakht tujhe chhod diya hum ne khuda par is tarah suni ishq mein naseh ki har ek baat parhez kya karte hain jis tarah dawa par ab tak to kabhi be-mai-o-mashuq na guzri aainda raza-mand hun malik ki raza par itne to gunahgar hain badnam-e-mohabbat aankhen to mali hain tere naqsh-e-kaf-e-pa par dil lene ke andaz ka kuchh nam nahin hai mauquf hai ye chiz ada par na haya par allah mujhe kam se kam itna to bana de ek ek to dil dun teri ek ek ada par dekhen tere kuche ki zara aab-o-hawa bhi chalte hain jo pani pe jo udte hawa par aaj aap ko dekha magar ab tak to suna tha qail nahin hota kabhi insan khata par malum nahin kaun si mitti se bane hain wo log jo ghash hain tere naqsh-e-kaf-e-pa par hum apne khayalat ki islah karenge koshish to bahut ki hai bharosa hai khuda par hota hun teri shan-e-karimi ke tasadduq marne ke liye hote hain chyunti ko ata par ai dost faramosh ye hai haal hamara aamin kaha karte hain dushman ki dua par kya aah se arman nikalte hain kisi ke pul bandhte hain bandhne wale to hawa par taklif hamesha dil-e-khud-sar ne uthai aai hain balaen bahut us ek bala par allah ne kya kya tere munh se na sunaya hum shukr bhi karte hain shikayat ki bina par taka tha mujhe aur chhidda ghair ka sina ai wah nikale hain tere tir ne kya par aashiq hun to kya aap ki sohbat mein raha hun hansna hi padega mere rone ki ada par wo kaun hain main kaun hun kya munh se nikalun mansur ko suli mili aisi hi khata par aise tere aashiq kabhi dekhe na sune the pahre to bithae nahin naqsh-e-kaf-e-pa par ushshaq se bhule kahin dekhe bhi hain tum ne mar mitte hain ye log faqat nam-e-wafa par tum se to safi' ne faqat ek dhong kiya hai khata hai na pita hai to jita hai hawa par