ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar tujhe mashuq banna hai to puri shan paida kar kahan ka wasl kaisi aarzu ai dil wo kahte hain na main hasrat karun puri na tu arman paida kar hamara intikhab achchha nahin ai dil to phir tu hi khayal-e-yar se behtar koi mehman paida kar mujhe hai rashk us ko bhi raqib apna samajhta hun na dekhe jo tujhe aisa koi darban paida kar khayal-e-zabt-e-ulfat hai to 'ahsan' phir khatar kaisa na dhadke dil bhi sine mein wo itminan paida kar