jidhar se wadi-e-hairat mein hum guzarte hain udhar to ahl-e-tamanna bhi kam guzarte hain tere huzur jo anfas-e-gham guzarte hain ajab hayat ke aalam se hum guzarte hain rawan hai barq ka shoala sahab-e-rahmat mein naqab dal ke ahl-e-sitam guzarte hain hayat rok rahi hai koi qadam na badhae ki aaj manzil-e-hasti se hum guzarte hain lalak badha ke faqat chand bund barsa ke rawan-dawan se sahab-e-karam guzarte hain tajjub un ke liye marg-e-na-gahani ka jo zindagi ke marahil se kam guzarte hain mukhalifat hai khuli ab na dosti 'ahsan' ghuti ghuti si fazaon se hum guzarte hain