ada na dekhi koi un ki be-rukhi ki tarah wo hum se milne bhi aae to ajnabi ki tarah uthao jam piyo mai ki mausam-e-gul hai chatak raha hai badan us ka chandni ki tarah bas itni arz hai tujh se ai dawar-e-mahshar saza mile na hamein koi zindagi ki tarah jo ajnabi the yahan shahryar ban baithe jo shahryar the rahte hain ajnabi ki tarah nigah-e-naz ki sar-mastiyan 'nishat' na puchh surur is ka bhi rahta hai mai-kashi ki tarah