ada puri kahan qimat kari hai abhi to aankh hi main ne bhari hai khulunga tum se tab tum par khulega nazar aana nihayat sarsari hai main ujrat par bana hun shahzada ye pahlu mein kirae ki pari hai magar ye aaina kahta hai mujh se tu meri qabiliyyat par mari hai yahan par sab barabar hain sabhi ke yahan sab ko sabhi par bartari hai