samajhne se siwa samjhane ka sab ko junun kyon hai labon par tanz ke kalmat hain aankhon mein khun kyon hai jo bas zakhm-e-barun ko bharne se rakhte hain dilchaspi unhen hum kaise batlaen hamein soz-e-darun kyon hai rawadari jo sunne ki thi ab wo bhi nahin baqi mere sine mein jo taklif hai kaise kahun kyon hai isi tafhim se mahrumi ka hasil hai ye manzar mujhe bechainiyan kyon hain tumhein itna sukun kyon hai hamare roz-o-shab jab sab haqiqat hain to phir 'asim' koi rukh ho hamari soch ka mehwar fusun kyon hai