ada zaban se harf-e-nahin ziyaada hua isi pe qatl mera sara khanwada hua talab ne zin sajai kiran ke ghode par kabhi jo sair-e-mah-o-mahr ka irada hua hamin ne jast bhari waqt ke samundar mein hamin se daman-e-arz-o-sama kushada hua adu ne lut li maqtal mein jab meri poshak to mera khun mere jism ka libaada hua adab ka zina mila zist ka qarina mila kahan kahan na tere gham se istifada hua faras ko dur kiya sar se taj utar diya tumhaare shahr mein pahuncha to main piyaada hua mein dam-ba-khud hun mere sar pe saeban-e-falak baghair chob ke kyun-kar hai istada hua