kya lutf ki wo zulm bhi jari nahin rakhte kya dost hain kuchh laj hamari nahin rakhte hum lipte hue ghar se bhi rahte nahin lekin hijrat ka koi khauf bhi tari nahin rakhte eajaz-e-takhayyul se pahunchte hain sar-e-arsh hum ahl-e-hunar koi sawari nahin rakhte rahne pe nahin tum hi jo tayyar to jao hum koi nishani bhi tumhaari nahin rakhte ye yaad rahe aan pe mar mitte hain hum log mat bhulna hum jaan bhi pyari nahin rakhte kyun bojh paron ka liye phirte hain na jaane 'ayyaz' parinde jo atari nahin rakhte