adalat se yahan rota hua har muddai nikla karam-farmai se munsif ki har mujrim bari nikla jo hota aarzi sadma to sah kar ji liye hote magar kya kijiye dagh-e-judai daimi nikla amir-e-shahr teri bakhshishon ka hai pata hum ko mila jo tujh se apni aankh mein le kar nami nikla yaqin hota na tha hairat se hum sab ko rahe takte hamam-e-zindagi se barhana har aadmi nikla yaqini fath thi 'anwar' muqabil haar hi jata qabile ka mere sardar jo tha sazishi nikla