aks apna kabhi bharpur nahin dekhta main

aks apna kabhi bharpur nahin dekhta main
aaine mein dil-e-ranjur nahin dekhta mein

husn-e-aghaz batata hai natija mujh ko
hasil-e-qissa-e-mashhur nahin dekhta main

gham ke girte hue mansab ko utha bhi na sakun
khud ko is darja bhi mazur nahin dekhta main

lab muqaffal the jab aankhon se pukara hai tujhe
qariya-e-jaan se bahut dur nahin dekhta main

umr makhdush ujale ki rifaqat ki hai kam
is liye gosha-e-pur-nur nahin dekhta main

jaane kyon mere liye bais-e-tashwish hai ye
dushman-e-jaan ko masrur nahin dekhta main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close