adawaton ka ye us ko sila diya hum ne ana ko us ki hamin mein duba diya hum ne malal-o-huzn se ho kar guzarti rahon ko yaqin-o-shauq se paiham mila diya hum ne misal ban gai mahbub aur habib ki zat ye aaina sar-e-alam dikha diya hum ne tamam jabr-o-tashaddud ki had bhi khatm hui ki jab se sabr ko mehwar bana diya hum ne kisi khayal ka aana muhaal hai ab to tasawwuraat ka khema jala diya hum ne abhi bhi ungli uthane ki rasm baqi hai har ek sabab ko agarche mita diya hum ne ab aur gharq-e-tajassus na ho meri khatir tumhein to faisla apna suna diya hum ne ye lazmi hai ki 'asra' bhula diya jae jo raaz dil ki zamin mein daba diya hum ne