ahl-e-dair-o-haram rah gae tere diwane kam rah gae mit gae manzilon ke nishan sirf naqsh-e-qadam rah gae hum ne har shai sanwari magar un ki zulfon ke kham rah gae be-takalluf wo auron se hain naz uthane ko hum rah gae rind jannat mein ja bhi chuke waiz-e-mohtaram rah gae dekh kar teri taswir ko aaina ban ke hum rah gae ai 'fana' teri taqdir mein sari duniya ke gham rah gae