adawaton ka yun aaghaz-e-ikhtitam karen adu mile to use khair se salam karen ab ikhtiyar-e-tabaddul bhi ho gaya hasil to ab gulistan mein raij naya nizam karen hamari aapsi ranjish hai chhod den hum par chalen huzur chalen aap apna kaam karen ab us ke samne insaf ka taraazu hai unhen kahen ki adalat ka ehtiram karen safar nasib jo sahraon ke musafir hain wo log shahr mein kis tarah ab qayam karen wo jin buzurgon ka shafqat se hath khali ho to un buzurgon ka hum kitna ehtiram karen badal rahi hain fazaen to khud ko bhi badlen kanizen chhodiye aazad sab ghulam karen khayal rakkhen mazid aur koi dukh na mile ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen