adawaton mein jo khalq-e-khuda lagi hui hai mohabbaton ko koi bad-dua lagi hui hai panah deti hai hum ko nashe ki be-khabari hamare bich khabar ki bala lagi hui hai kamal hai nazar-andaz karna dariya ko agarche pyas bhi be-intiha lagi hui hai palak jhapakte hi khwahish ne canwas badla talash karne mein chehra naya lagi hui hai tu aaftab hai jangal ko dhup se bhar de teri nazar mere kheme pe kya lagi hui hai ilaj ke liye kis ko bulaiye sahab hamare sath hamari ana lagi hui hai