ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka to nakh-ba-nakh kahin paiwast resha-e-dil tha mujhe maal-e-safar ka malal kyun-kar ho ki jab safar hi mera faslon ka dhoka tha main jab firaq ki raaton mein us ke sath rahi wo phir visal ke lamhon mein kyun akela tha wo waste ki tera darmiyan bhi kyun aae khuda ke sath mera jism kyun na ho tanha sarab hun main teri pyas kya bujhaungi is ishtiyaq se tishna zaban qarib na la sarab hun ki badan ki yahi shahadat hai har ek uzw mein bahta hai ret ka dariya jo mere lab pe hai shayad wahi sadaqat hai jo mere dil mein hai us harf-e-raegan pe na ja jise main tod chuki hun wo raushni ka tilism shua-e-nur-e-azal ke siwa kuchh aur na tha