adhuri si kahani ko na tum samjhe na hum samjhe hamari zindagani ko na tum samjhe na hum samjhe hamare darmiyan ka fasla kam ho bhi sakta tha zara si bad-gumani ko na tum samjhe na hum samjhe mohabbat phul bhi khushbu bhi shoala bhi hai shabnam bhi isi tarz-e-bayani ko na tum samjhe na hum samjhe nigahon se nigahon par ayan har raaz tha lekin nazar ki tarjumani ko na tum samjhe na hum samjhe 'sadaf' aain bahaaren phir payam-e-rang-o-bu le kar magar is rut-suhani ko na tum samjhe na hum samjhe