lafz gunge ho gae lahje ki ayyari ke baad wo barahna ho gaya itni adakari ke baad chand bosida kitaben kirm-khurda kuchh waraq ye sila bhi kam nahin ek jurm-e-fankari ke baad raat ke manzar khuli aankhon mein patthar ho gae khwab mein jage hue lagte hain bedari ke baad aansuon ko qahqahon ka rup de jata hai wo is tarah hansta to hai lekin kala-kari ke baad jin kitabon mein rakhe the khwab guzri fasl ke hum ne khud un ko jala dala nigah-dari ke baad ab kisi se kya kahen badnam-e-wahshat ka sabab khud bhi sharminda hain hum dil ki subuksari ke baad