adna si ek chiz wafa jis ka nam hai hai to wo ek soz magar na-tamam hai mujh ko haqiqaton ki khabar hai mere shuur lekin jo intizam hai wo intizam hai ye ahl-e-eqtidar hain do chaar roz ke hum hain hamein to jina hai hum ko dawam hai gustakh jaanta hai mujhe ek aisa shakhs jis ka meri nazar mein bahut ehtiram hai main us ki khoj mein hun wo meri talash mein mujh ko hai us se kaam use mujh se kaam hai rahi safar ke tul se ghabra raha hai kyon do chaar gam aur ki phir ikhtitam hai jina hai achchhi baat hai jina isi liye in ko bhi ram ram unhen bhi salam hai