ajib zulm hai sayyaad ki hawas ki tarah suluk karta hai mujh se chaman qafas ki tarah hamare dam se hain mahfuz-o-shad barg-o-saman hamein na phenk chaman se yun khar-o-khas ki tarah main apne waste amrit kahan jutata hun main apne ras ke khazane pe hun magas ki tarah zarur tu hai numayan sitamgari mein zarur hamara dard bhi badhta hai tere jas ki tarah koi khulus mila kar agar pilae to surur chhachh bhi deti hai somras ki tarah kisi ne jal bichhaya hai ghaur se dekho ki shakh shakh gulistan mein hai chakas ki tarah bahut ajib kahani hai mere aalam ki bana sifar se hun main ek anek das ki tarah agar main hun to main hun aur agar gaya to gaya main mo'atabar nahin na-mo'tabar nafas ki tarah na jaane kaun se jangal ka jiw hai waiz sharab pita hai kam-bakht bul-hawas ki tarah ye buzdili ka tilism ab to tod de 'kundan' ki bang deti hai pazeb bhi jaras ki tarah