adu-e-bad-guman ki dastan kuchh aur kahti hai magar teri nigah-e-khush-bayan kuchh aur kahti hai khizan ke dam se apni khush-dili ka hai bharam warna bahaar aate hi yaad-e-ashiyan kuchh aur kahti hai suno dil se to phir har naghma-e-ishrat ke parde mein alam ki dastan-e-khun-chakan kuchh aur kahti hai nazar un ki zaban un ki tajjub hai ki is par bhi nazar kuchh aur kahti hai zaban kuchh aur kahti hai hazar andaz se ahl-e-hawas ab dam phailaen nawa-e-tair-e-arsh aashiyan kuchh aur kahti hai tere lutf-o-karam ka mo'tarif hai ek jahan lekin kisi majbur-e-gham ki dastan kuchh aur kahti hai khusha teri nazar ka imtiyaz-e-jalwat-o-khalwat wahan kuchh aur kahti thi yahan kuchh aur kahti hai gulistan mein bahaar-e-gul-fashan aane se kya hasil ki mustaqbil ki taswir-e-khizan kuchh aur kahti hai wo mere haal par 'sahir' kabhi jo muskuraate hain to dil se apni sai-e-raegan kuchh aur kahti hai