ai masiha mere kaisi ye masihai hai itni qurbat mein bhi ek hijr hai tanhai hai mujh ko aabaad karo mujh mein koi rang bharo dil-e-muztar bhi bahaaron ka tamannai hai us ne jate hue dekha na palat kar tujh ko tu hai diwani ki jiwan hi luta aai hai sar-e-fihrist hun aghyar ki fihrist mein main aur kahne ko meri tujh se shanasai hai garche miras hai waliyon ki magar kya kahiye yar khamosh raho ishq mein ruswai hai