adu-e-jaan but-e-be-bak nikla

adu-e-jaan but-e-be-bak nikla
bada qatil bada saffak nikla

sanobar qad-kashi mein khak nikla
wo sarw-e-qad chaman ki nak nikla

farishton ko kiya mat aadmi ne
qayamat ka ye musht-e-khak nikla

uda di qaid-e-mazhab dil se hum ne
qafas se tair-e-idrak nikla

mohabbat se khula haal-e-zamana
ye dil lauh-e-tilism-e-khak nikla

nikal aai falak ki dur se ruh
bhanwar se khub ye tairak nikla

wo pazhmurda tha fasl-e-gul jo aai
chaman se surat-e-khashak nikla

shikar-afgan main dil ko jaanta tha
ghazal-e-basta-e-fitrak nikla

mare hum aarzu un ki bar aae
hamara hausla kya khak nikla

junun mein bagh-e-alam ko jo dekha
ajab sahra-e-wahshat-nak nikla

nikalti hai badan se jis tarah ruh
tere ghar se main yun ghamnak nikla

tumhaare qad se kuchh kam sarw thahra
sanobar to bahut kawak nikla

hamari sada-lauhi kaam aai
hisab-e-roz-e-mahshar pak nikla

tarara phirte hi pahuncha adam mein
samand-e-umr kya chaalak nikla

bhare ladkon ne daman pattharon se
jahan tera gareban chaak nikla

mitaya daur-e-saqi mohtasib ne
adu jamshed ka zahhak nikla

'saba' hum hashr ko mujrim jo nikle
shafaat ko shah-e-laulak nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close