be-sada dam-ba-khud faza se dar khushk patta hai to hawa se dar kore kaghaz ki sadgi pe na ja gung lafzon ki is rida se dar aasman se na is qadar ghabra tu zamin ki saza jaza se dar jaane kis khunt tujh ko le jaen shahzade nuqush-e-pa se dar tark-e-dast-e-talab pe mat itra apne dil mein chhupe gada se dar arsh tak bhi udan hai apni hum parindon ki bad-dua se dar aarzu ek nae janam ki na kar itni lambi kadi saza se dar