adu-e-khira-sarab ho gaya bada khurrant yahi hai dil mein ki den aaj us ko hum ek dant safa-e-qalb hi se zeb-e-jama-zebi hai kahan se chust qaba aa gai qaba mein sant mile ho subh-dam ai yar koi dam dam lo tumhaare jaane mein kya dam mera lagaega aant sipah-e-qalb-shikan ban gain saf-e-mizhgan tum aise safdar-e-ghazi ho kant mein hai chhant tumhaara 'saqi'-e-shaida hai be-nawa sail zakat-e-husn ka hissa faqir ko do bant