adu kambaKHt ko sauda hai kuchh aisa judai ka

adu kambakht ko sauda hai kuchh aisa judai ka
liye sar par phira karta hai dhancha chaarpai ka

kabhi tum mujh ko dhar patko kabhi main tum ko de marun
maza us waqt hai ai jaan-e-jaan is hatha-pai ka

ye kya padh padh ke dam karte ho chupke se hasinon par
utha hi chahta hai shaikh parda parsai ka

sar-e-mahfil raqib-e-ru-siyah ka tetwa pakda
machaya shor buzdil ne duhai ka tihai ka

tumhein jab main ne dhar dapta to koi bhi nahin bola
bahut hi dam bhara karte the aada aashnai ka

main dil par chot khaun un pari-ruon ke hathon se
mujhe nuskha agar koi bata de momyai ka

sar-e-mahfil har ek se be-jhijhak aankhen ladata hai
uthaya hai but-e-pur-fan ne kya beda dhitai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close