baghban ne jaan rakh li bulbul-e-nashad ki dast-e-gul-chin tod dala tang li sayyaad ki shairo shan-e-khuda hai tir mizhgan ho gae badh abru mein hai paida khanjar-e-jallad ki ishq-e-zalim ki koi dekhe karishma-saziyan ja ke majnun ko sataya li khabar farhad ki jhut ki had hai koi zer-o-zabar aalam hua aasman bhi phat pada aashiq ne jab fariyaad ki nama-bar se puchhta hai haal nama phad kar dekhiye to chhed sahab us sitam-ijad ki us ko aur tum se mohabbat han khuda ki shan hai kyon adu kambakht khata hai qasam aulad ki khinchta taswir kyunkar dekh kar rob-e-jamal hath kanpa mar gai nani wahin bahzad ki furqat-e-jaanan mein sina ho gaya chhattis inch laghari dekhe to koi aashiq-e-nashad ki