adu ke shahr mein kab be-asar hun khuda ka shukr hai jo mo'atabar hun sitara hun ki main raushan qamar hun dua man ki hai jis ka main samar hun bahaaren kyun na phir se laut aaen unhen malum hai main bhi idhar hun isi sahra se meri nisbaten hain jahan ka main hi ek wahid shajar hun mohabbat jurm hai kis ne kaha hai bata do sab ko main dil mein agar hun bala ka hausla mujh ko mila hai bahut dushwar hai rasta jidhar hun jise sun kar sabhi hairan hain kyun tumhein lagta hai main aisi khabar hun dariche mein jo rakkha jal raha hai diya aisa hawa ke dosh par hun bulandi chhu ke aaun aasman ki parinda hun sada mahw-e-safar hun tumhaare ahd ki hun munharif to saza mil kar rahegi ba-khabar hun