bayan kya kijiye soz-e-darun ko dastanon mein

bayan kya kijiye soz-e-darun ko dastanon mein
nikal ke tir kab aate hain wapas phir kamanon mein

hamari soch ke baadal hain udte aasmanon mein
karegi yaad ye duniya hamein aate zamanon mein

sabhi mil kar bichhad jaen agar gumnam ho jaen
makin phir kis liye baste hain in unche makanon mein

rahe wahshat-zada ke sath to wahshat mili har dam
wo hi wahshat rahi man mein sabhi mausam suhanon mein

chura ke khwab wo mere chala to ye khayal aaya
qalam ki nok se likh dun alam ye sab lisanon mein

jo sach kahte hain wo hi jawedan rahte hain aalam mein
chhupaya ja nahin sakta haqiqat ko fasanon mein

zamin sarsabz hai faslen bhi kaisi lahlahati hain
amir-e-shahr ne khirman jo banta hai kisanon mein

wafa ke nam par hargiz hina khamosh mat rahna
kabhi wo laut aaenge tumhaari dastanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close