adu ko dekh ke jab wo idhar ko dekhte hain nazar chara ke hum un ki nazar ko dekhte hain wo rakh ke hath se aaina tan ke baith gae dahan ko dekh chuke ab kamar ko dekhte hain kisi ke husn se ye hum ko bad-gumani hai ki pahle nama se hum nama-bar ko dekhte hain ye imtihan-e-kashish husn-o-ishq ka hai bana na hum udhar ko na ab wo idhar ko dekhte hain kabhi wo aaine mein dekhte hain apni shakl kabhi wo 'bekhud'-e-ashufta-sar ko dekhte hain