tu ang ang mein khushbu si ban gaya hoga main sochta hun ki tujh se gurez kya hoga tamam raat mere dil se aanch aati rahi kahin qarib koi shahr jal raha hoga tu mere sath bhi rah kar mere qarib na tha ab is se aur fuzun fasla bhi kya hoga mujhe khud apni wafa par bhi e'timad nahin kabhi to tu bhi meri tarah sochta hoga kabhi to sang-e-malamat kahin se aaega koi to shahr mein apna bhi aashna hoga zara si baat pe kya doston ke munh aaen gharib dil tha murawwat mein jal-bujha hoga