adu to kya ye falak bhi use sata na saka khushi hansa na saki gham jise rula na saka na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat jo gham-nasib khushi mein bhi muskura na saka wo puchh baithe yakayak jo wajh-e-be-tabi khuja ke rah gaya sar baat kuchh bana na saka wo dekh len na kahin meri chashm-e-pur-nam ko gaya to milne ko aankhen magar mila na saka ye do-dili mein raha ghar na ghat ka 'anjum' buton ko kar na saka khush khuda ko pa na saka