waiz ki kadwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain ye rind-e-bala-nosh aise hain sunte hain aur pi jate hain hum aap se jo kuchh kahte hain wo bilkul jhut ghalat ek dam aur aap jo kuchh farmate hain be-shubah baja farmate hain diwana samajh kar chhed ke wo sunte hain hamari baaton ko hum matlab ki kah jate hain wo soch ke kuchh rah jate hain majbur-e-mohabbat ki haalat begana-e-ulfat kya jaane hum ghairon ke tane sunte hain aur sun kar chup rah jate hain gardan hai jhuki nazren nichi aur lab pe hai un ke tabassum bhi hai qabil-e-did wo shokhi bhi jis waqt ki wo sharmate hain behosh pade hain ishq mein aur sar hai kisi ke zanu par tadbiren lakh kare koi ab hosh mein hum kab aate hain kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne waqai khub kiya kam-bakht isi ke laeq tha ab aap abas pachhtate hain