afsana chahte the wo afsana ban gaya main husn-e-ittifaq se diwana ban gaya wo ek nigah dekh ke khud bhi hain sharmsar na-agahi mein yunhi ek afsana ban gaya mauj-e-hawa se zulf jo lahra gai teri mera shuur laghzish-e-mastana ban gaya husn ek ikhtiyar-e-mukammal hai aap ne diwana kar diya jise diwana ban gaya zikr us ka guftugu mein jo shamil hua 'adam' jo sher kah diya wo pari-khana ban gaya