chup bhi ho bak raha hai kya waiz maghz rindon ka kha gaya waiz tere kahne se rind jaenge ye to hai khana-e-khuda waiz allah allah ye kibr aur ye ghurur kya khuda ka hai dusra waiz be-khata mai-kashon pe chashm-e-ghazab hashr hone de dekhna waiz hum hain qaht-e-sharab se bimar kis maraz ki hai tu dawa waiz rah chuka mai-kade mein sari umr kabhi mai-khane mein bhi aa waiz hajw-e-mai kar raha tha mimbar par hum jo pahunche to pi gaya waiz dukht-e-raz ko bura mere aage phir na kahna kabhi suna waiz aaj karta hun wasf-e-mai main 'amir' dekhun kahta hai is mein kya waiz