afsana-e-dil kya tum se kahen kuchh shad bhi kuchh nashad bhi hai

afsana-e-dil kya tum se kahen kuchh shad bhi kuchh nashad bhi hai
ye fikr-o-nazar ka qaidi hai is qaid mein ye aazad bhi hai

is nisbat-e-am ki duniya mein ab kis ki shikayat kis se karen
kuchh hum bhi hain barbaad-e-jahan kuchh hum se jahan barbaad bhi hai

afsos tasalsul-e-zulf-o-rukh is sham-o-sahar ne tod diya
be-rabt sa hai ab qissa-e-dil kuchh bhul gae kuchh yaad bhi hai

ai kash nigah-e-shauq tujhe kuchh aur saliqa mil jata
kuchh zinat-e-husn to hoti hai kuchh sai-e-nazar barbaad bhi hai

is dil ki tabahi mein shamil kuchh un ki nigah-e-lutf bhi hai
kuchh apne mizaj-o-tabiat ki mayusi-o-gham uftad bhi hai

be-shubh 'shafiq' ye teri ghazal is mahw-e-tarab tak pahunchegi
ye soz mein duba saz-e-hasin ek naghma bhi hai fariyaad bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close