afsana mere dil ka dil-azar se kah do bulbul ke zara dard ko gulzar se kah do sauda-e-mohabbat ne kiya hai mujhe majnun ja silsila-e-gesu-e-dildar se kah do mujh tishna-e-didar ki hai honton pe ab jaan lillah ye chah-e-zaqan-e-yar se kah do gardan pe meri sar ye bahut bar-e-garan hai tegh-e-do-dam-e-abru-e-khamdar se kah do us chashm se kah do meri ranjuri ki haalat paigham ye bimar ka bimar se kah do hun banda-e-ulfat nahin mazhab ki hai khwahish ye haal mera subha-o-zunnar se kah do mansur-sifat dil se nikalta hai anal-haq ye haal mera jald sar-e-dar se kah do mizhgan-e-sitamgar ne kiya mujh ko hai bismil eajaz-e-masiha-e-lab-e-yar se kah do 'asim' hi hua kafir-e-ishq-e-shah-e-khadim is ramz ko har sahab-e-asrar se kah do