mujhko kahan guman guzarta ki main bhi hun

mujh ko kahan guman guzarta ki main bhi hun
dekha tumhein to main ne ye jaana ki main bhi hun

mere bhi bakht mein hai andhera ki main bhi hun
samjhe na raat khud ko akela ki main bhi hun

ghar to baha ke le gaya khashak ki tarah
dariya na chhod mujh ko akela ki main bhi hun

ai kash chikhta use aata to main nazar
us sahab-nazar ne na dekha ki main bhi hun

main apni dhun mein kitni bulandi pe aa gaya
koi nahin hai dekhne wala ki main bhi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close