afsos teri yaad ne rasta nahin badla warna to mere ganw mein kya kya nahin badla jo mom ka putla tha wo pighla nahin ab tak jo aag ka dariya tha wo dariya nahin badla mausam ki tarah roz badalna nahin aata bachpan se isi waste chehra nahin badla ab tak wo mere khun ka pyasa hai mera yar ab tak mere dushman ka wo lahja nahin badla manzil se bichhad jaenge manzar se nikal kar so hum ne yahi soch ke rasta nahin badla jaise tu badalne ka mujhe soch raha tha ab tak to meri jaan main waisa nahin badla