khel maujon ka khatarnak sahi kya main is khel se dar jaunga phir koi lahar pukaregi phir main dariya mein utar jaunga khub-surat hain ye aankhen lekin kya main aankhon mein thahar jaunga khwab ki tarah se dekha hai tumhein khwab ki tarah bikhar jaunga shakl ban jaunga baadal mein kabhi purwa mein ubhar jaunga main kisi yaad ka jhonka ban kar tere aangan se guzar jaunga ye mohabbat mujhe taqat degi hausla degi ye himmat degi raushni teri nazar se le kar har andhere se guzar jaunga koi maqsad na koi mustaqbil koi sathi na hai koi manzil tum ko jaana hai jahan tum jao kya bataun main kidhar jaunga kyun nahin mujh ko bhi pyara hai watan hai magar sari zamin apna chaman kisi aangan mein khila hun 'waqif' kisi dharti pe bikhar jaunga