afsos tumhein car ke shishe ka hua hai parwa nahin ek man ka jo dil tut gaya hai hota hai asar tum pe kahan nala-e-gham ka barham jo hui bazm-e-tarab is ka gila hai firaun bhi namrud bhi guzre hain jahan mein rahta hai yahan kaun yahan kaun raha hai tum zulm kahan tak tah-e-aflak karoge ye baat na bhulo ki hamara bhi khuda hai aazadi-e-insan ke wahin phul khilenge jis ja pe zahir aaj tera khun gira hai ta-chand rahegi ye shab-e-gham ki siyahi rasta koi suraj ka kahin rok saka hai tu aaj ka shair hai to kar meri tarah baat jaise mere honton pe mere dil ki sada hai