hum ne sikha hai mohabbat karna ek ek dil pe hukumat karna hum bhi tarikh badal sakte hain shart hai himmat-o-jurat karna zeb deta nahin insanon ko kisi insan ki ibaadat karna rakh ke khud apni zarurat ko udhaar puri auron ki zarurat karna shab ki tariki mein sikha hum ne chand taron ki tilawat karna aakhiri sans talak jiwan ki mard ki shan hai mehnat karna farz se haj ke hai afzal 'hafiz' budhe man-bap ki khidmat karna