afsurdagi-e-dard-e-faraqat hai sahar tak ye sham to ek sham-e-qayamat hai sahar tak koi to andheron mein ujalon ka sabab ho mana ki charaghon ki haqiqat hai sahar tak ab hum pe jo aai to kisi taur na guzri sunte the shab-e-gham ki tawalat hai sahar tak phir rakh bhi ho jaen to ho jaen bala se aankhon ke hawalon ki zarurat hai sahar tak jis raat khula mujh pe wo mahtab ki surat wo raat sitaron ki amanat hai sahar tak suraj pe hukumat hai yahan dida-waron ki sinon ki sulagne ki ijazat hai sahar tak gunjega har ek halqa-e-zanjir-e-asiran khamoshi-e-zindan ki aziyyat hai sahar tak ye raqs-e-bala saz-e-junun-khez pe 'azhar' ye mahfil-e-hangama-e-wahshat hai sahar tak