sach bolna chahen bhi to bola nahin jata jhuton ke liye shahr bhi chhoda nahin jata tum kitna hi ohdon se nawazo hamein lekin nafrat ka shajar hum se to boya nahin jata socho to jawani kabhi wapas nahin aati dekho to kabhi aa ke budhapa nahin jata dil par to bahut zakhm zamane ke lage hain khud-dari se lekin kabhi roya nahin jata duniya bhi sukun se kabhi rahne nahin deti nauha bhi kabhi apnon ka likkha nahin jata pahre mere honton pe laga rakkhe hain us ne chahun main gila karna to bola nahin jata tinke bhi nahin chhode hain 'nayyar' kisi ghar ke sailab wo aaya hai ki dekha nahin jata