agar aah-e-rasa se kaam hum na-kaam lete hain farishte paya-e-arsh-e-moalla tham lete hain buton par koi mar jae qaza ka nam lete hain ye kafir apne upar kab koi ilzam lete hain buton ke zikr par 'kaifi' kaleja tham lete hain koi puchhe isi munh se khuda ka nam lete hain asar meri wafa ka ba'd mere ye hua un par mera jab nam aata hai kaleja tham lete hain tere arman dil mein aa ke jam jate hain kuchh aise nikalo to nikalne ka nahin phir nam lete hain pada rahne do apne saya-e-diwar mein dam bhar tumhaare dil-jale thak kar zara aaram lete hain hawa hai abr hai gulzar hai mutrib hai saqi hai maza sawan ka lete hain to mai-asham lete hain tumhaari bad-gumani hi tumhein badnam karti hai tumhaare marne wale kab tumhaara nam lete hain lutere hain hasin mashuq un ko kaun kahta hai zabardasti ye gahak jin se dil be-dam lete hain mata-e-dil ke badle bosa-e-lab kyon na len aashiq ki chokha mal dete hain karare dam lete hain tere naqsh-e-qadam ko chhu ke sar par kaun aafat le hazaron fitna-e-mahshar yahan aaram lete hain hum apne ghar mein baaten karte hain tum ko khalish kyon hai shikayat dil se karte hain kisi ka nam lete hain khushi manzur hai un ki zaban se kuchh nahin kahte na puchho dil pe kya kya morid-e-alam lete hain