chand ke des mein hai ji ka ziyan saudagar mol kya doge gham-e-dil ka wahan saudagar ab wo agle se yahan misr ke bazar nahin aa gae shahr-e-tamanna mein kahan saudagar dil ka har zakhm hai aaina teri surat ka tu ne dekhi nahin shishon ki dukan saudagar har gali chup hai ki aaseb ka saya jaise shahr-e-dil se teri rukhsat ka saman saudagar sahl itna to nahin rup-nagar se jaana dur tak jaega aahon ka dhuan saudagar naqd-e-jaan aae hain bazar mein le kar jab se ho gai jins-e-wafa aur giran saudagar dil ke viran darichon pe charaghan 'mahir' kaun deta hai sar-e-sham azan saudagar