agar ai nasim-e-sahar tera ho guzar dayar-e-hijaz mein meri chashm-e-tar ka salam kahna huzur-e-banda-nawaz mein tumhein hadd-e-aql na pa saki faqat itna haal bata saki ki tum ek jalwa-e-raaz the jo ayan tha rang-e-hijaz mein ajab ek surur sa chha gaya meri ruh-o-dil mein sama gaya tera nam naz se aa gaya mere lab pe jab bhi namaz mein na jahan mein rahat-e-jaan mili na mata-e-amn-o-aman mili jo dawa-e-dard-e-nihan mili to mili bahisht-e-hijaz mein karun nazr naghma-e-jaan-faza main kahan se 'akhtar'-e-gham-nawa ki siwae nala-e-gham nahin mere dil ke gham-zada saz mein