agar badla kabhi rukh be-rukhi ka to aaega maza kuchh zindagi ka mujhe barbaad kar ke hans rahe ho liya hai tum ne ye badla kabhi ka isi ummid par gham sah raha hun kabhi to aaega mauqa khushi ka mujhe dil se bhulana chahte ho yahi hai muddaa daman-kushi ka mohabbat mein gai izzat to kya gham yahan ye hashr hota hai sabhi ka kabhi hoga shagufta dil ka ghuncha kabhi badlega rang afsurdagi ka mujhe 'afzal' duboya hai usi ne jise samjhe sahaara zindagi ka